ye din ye raat ye sham-o-sahar sameT liye
ghazal ke shauq ne kitne pahar sameT liye
faza mein aisa tassub ka zahr phail gaya
na jaane kitne parindon ne par sameT liye
samaj teri marammat na ho sakegi kahin
jo hum gharibon ne dast-o-hunar sameT liye
ye soch kar ki andhere na zindagi ban jaen
jahan jahan mile shams-o-qamar sameT liye
bikher pae na hum raston mein phul magar
mile jo KHar sar-e-rah-guzar sameT liye
pata bataega ab waqt un ki manzil ka
musafiron ne to rakhte safar sameT liye
samajh mein aa gai 'shahid' agar koi bhi radif
jo qafiya bhi lage mo'atabar sameT liye
Ghazal
Ye din ye raat ye sham-o-sahar sameT liye
Shahid Jamal