اردو हिंदी
Ye din bahaar ke ab ke bhi ras aa na sake | Shaahi Shayari
ye din bahaar ke ab ke bhi ras aa na sake

Ghazal

Ye din bahaar ke ab ke bhi ras aa na sake

Jigar Moradabadi

;

ye din bahaar ke ab ke bhi ras aa na sake
ki ghunche khil to sake khil ke muskura na sake

meri tabahi-e-dil par to rahm kha na sake
jo raushni mein rahe raushni ko pa na sake

na jaane aah ki un aansuon pe kya guzri
jo dil se aankh tak aae mizha tak aa na sake

rah-e-KHulus-e-mohabbat ke hadsat-e-jahan
mujhe to kya mere naqsh-e-qadam miTa na sake

karenge mar ke baqa-e-dawam kya hasil
jo zinda rah ke maqam-e-hayat pa na sake

naya zamana banane chale the diwane
nai zamin naya aasman bana na sake