ye dil wo shisha hai jhamke hai wo pari jis mein
bhara hai mu-e-ba-mu sehr-e-samri jis mein
ye lal-e-laKHt-e-jigar hai wo lal-e-besh-baha
ki kaam karti nahin chashm-e-jauhari jis mein
diya hai main ne dil aise ko aur pareshan hun
na mehr hai na mohabbat na dilbari jis mein
KHuda do-chaar na hum se kare kabhi us ko
nikalti ho teri aankhon se kafiri jis mein
haTe hai 'mani' se laila ki wo waraq to dikha
likhi hai surat-e-majnun ki laghari jis mein
ghazab hai tu ne na dekha wahi mera dil tha
bandhi hui thi tere tir ki siri jis mein
kisi se kaam miyan-'mushafi' na kuchh rakhiye
wo kaam kijiye ho apni behtari jis mein
Ghazal
Ye dil wo shisha hai jhamke hai wo pari jis mein
Mushafi Ghulam Hamdani