ye dil ki dastan hai ki dil ghulam kar diya
ajib log aap hain ajib kaam kar diya
tumhaari ye saKHwaten tumhaari ye inayaten
jo gham tumhaare pas tha hamare nam kar diya
dilon ka bhed khul gaya to phir ajib rang mein
dabi dabi si baat ko kisi ne aam kar diya
kisi ko surKH-ru kiya kisi ki bazm-e-shauq mein
zara zara si baat par ye ehtimam kar diya
kabhi hamein bura laga kabhi hamein bhala laga
hamare dil ki baat ko kisi ne aam kar diya
uDan KHub-tar hui jo panchhiyon ki Dar ki
to gher-ghaar kar kisi ne zer-e-dam kar diya

Ghazal
Ye dil ki dastan hai ki dil ghulam kar diya
Sabiha Saba