ye dil kahta hai koi aa raha hai
nazar kahti hai wo bahla raha hai
har ek ke dil pe karta hai hukumat
wo apni saltanat phaila raha hai
kisi ki dastaras mein hai magar wo
kabhi aa kar hamein milta raha hai
kabhi deta hai dil ko zaKHm gahre
kabhi lagta hai wo sahla raha hai
KHabar ek us ke aane ki suni thi
diya ghar raat bhar jalta raha hai
kahenge log mere baad sare
wo jaisa bhi raha achchha raha hai
kahan par aa ke 'aKHtar' ruk gae ho
chalo aao zamana ja raha hai
Ghazal
Ye dil kahta hai koi aa raha hai
Akhtar Amaan