ye dil hi jaanta hai phir kahan kahan bhaTke
bichhaD ke tum se hum aaKHir kahan kahan bhaTke
hamare panw ke chhaale hi ye samajhte hain
ki tere pyar ki KHatir kahan kahan bhaTke
tumhaari chand si taswir ke tasawwur mein
hamein pata hai musawwir kahan kahan bhaTke
tumhein pata hi nahin tum ko dekhne ke baad
ghazal ke nam se shair kahan kahan bhaTke
KHuda hi jaane mere KHwab bech dene ke baad
meri wafaon ke tajir kahan kahan bhaTke
kabhi jo ghar se na nikla ho us ko kya malum
safar mein kitne musafir kahan kahan bhaTke
mila andhere mein jo kuchh KHuda bana Dala
KHuda ko chhoD ke kafir kahan kahan bhaTke
kahin qarar na aaya kahin sukun na mila
bichhaD ke ghar se muhajir kahan kahan bhaTke
Ghazal
Ye dil hi jaanta hai phir kahan kahan bhaTke
Anubhav Gupta