ye dil har ek nai koshish pe yun dhaDakta hai
ki jaise koi natija nikalne wala hai
hamein KHabar hai ki hai kaun kitne pani mein
ye shahr sath-e-samandar se kitna uncha hai
sarab pyas bujhata nahin kabhi lekin
ye baat KHub samajhta hai kaun pyasa hai
tumhaare hath mein taqdir hai ujalon ki
charagh ko ye KHabar kya kahan andhera hai
sunai deti hai ab sirf aansuon ki sada
nigah par bhi kai din se saKHt pahra hai
na dosti hi ko parkha na dushmani ko 'shakil'
magar ye kis ne kaha tajraba adhura hai

Ghazal
Ye dil har ek nai koshish pe yun dhaDakta hai
Shakeel Gwaliari