ye dil-e-nadan hamara bhi ajab diwana tha
us ko apna ghar ye samjha tha jo mehman-KHana tha
the jo begane yagane un ko ginta tha ba-jaan
is qadar ghaflat mein aql-o-hosh se begana tha
le liya mani ko aur surat ko jaana be-sabaat
ghaur se dekha to aalam mein wahi farzana tha
kya gham-e-asbab zahir ka na ho jis ko qayam
chashm-e-mani-bin mein yaksan hai agar tha ya na tha
kahte hain ahd-e-salaf mein tha koi aisa makan
qita-e-KHuld us ka ek ek kunj aur kashana tha
pur-safa o pur-ziya o pur-nigar o pur-bahaar
zeb se sau sau tarah us mein jo shaKH aur shana tha
lahza lahza aish-o-ishrat dam-ba-dam raqs-o-surur
girya-e-mina o yaksar KHanda-e-paimana tha
malik us ka jab wo pusht-e-baam par phirta tha shad
kya kahun kya kya use naz-e-sar-afraazana tha
tha jahan ye kuchh ayan wan inqalab-e-daur se
yak mizha barham zadan mein kuchh na tha virana tha
wan tinis-e-yak-magas aae na hargiz gosh mein
jis jagah shor-e-qayamat saz-e-naubat-KHana tha
wan nazar aaya na hargiz para-e-sang-e-siyah
jis jagah lal-o-gohar se pur jawahir-KHana tha
KHub jo dekha 'nazir' in raftagan ka majra
bahr-e-KHauf-o-ibrat-e-aindagan afsana tha
Ghazal
Ye dil-e-nadan hamara bhi ajab diwana tha
Nazeer Akbarabadi