اردو हिंदी
Ye dil aawezi-e-hayat na ho | Shaahi Shayari
ye dil aawezi-e-hayat na ho

Ghazal

Ye dil aawezi-e-hayat na ho

Anand Narayan Mulla

;

ye dil aawezi-e-hayat na ho
agar aahang-e-hadsat na ho

teri naraazgi qubul magar
ye bhi kya bhul kar bhi baat na ho

zist mein wo ghaDi na aae ki jab
hat mein mere tera hat na ho

hansne wale rula na auron ko
subh teri kisi ki raat na ho

ishq bhi kaam ki hai chiz agar
yahi bas dil ki kaenat na ho

kaun us ki jafa ki lae tab
gahe gahe jo iltifat na ho

rind kuchh kar rahe hain sargoshi
zikr-e-'mulla' se KHush-sifat na ho