ye diwane kabhi pabandiyon ka gham nahin lenge
gareban chaak jab tak kar na lenge dam nahin lenge
lahu denge to lenge pyar moti hum nahin lenge
hamein phulon ke badle phul do shabnam nahin lenge
ye gham kis ne diya hai puchh mat ai ham-nashin hum se
zamana le raha hai nam us ka hum nahin lenge
mohabbat karne wale bhi ajab KHuddar hote hain
jigar par zaKHm lenge zaKHm par marham nahin lenge
gham-e-dil hi ke maron ko gham-e-ayyam bhi de do
gham itna lene wale kya ab itna gham nahin lenge
sanware ja rahe hain hum ulajhti jati hain zulfen
tum apne zimma lo ab ye bakheDa hum nahin lenge
shikayat un se karna go musibat mol lena hai
magar 'ajiz' ghazal hum be-sunae dam nahin lenge
Ghazal
Ye diwane kabhi pabandiyon ka gham nahin lenge
Kaleem Aajiz