ye dhund ye ghubar chhaTe to pata chale
suraj ka haal raat kaTe to pata chale
chehron ke KHad-o-KHal salamat hain ya nahin
ab aainon se gard haTe to pata chale
zulmat ke karobar mein us ka bhi ek din
chehra ghubar-e-shab se aTe to pata chale
ummid ki ye nannhi kiran wahima na ho
ab chadar-e-siyah phaTe to pata chale
bikhra hua hai mera qabila kahan talak
saughat-e-dard phir se miTe to pata chale
ghar mein wo ek purani si taswir thi ki hai
sail-e-bala ka zor ghaTe to pata chale
Ghazal
Ye dhund ye ghubar chhaTe to pata chale
Shoaib Nizam