اردو हिंदी
Ye daur kaisa hai ya-ilahi ki dost dushman se kam nahin hai | Shaahi Shayari
ye daur kaisa hai ya-ilahi ki dost dushman se kam nahin hai

Ghazal

Ye daur kaisa hai ya-ilahi ki dost dushman se kam nahin hai

Fazil Ansari

;

ye daur kaisa hai ya-ilahi ki dost dushman se kam nahin hai
KHulus-e-har-rahbar-e-zamana fareb-e-rahzan se kam nahin hai

hua to hai be-naqab koi nazar hai mahrum-e-did phir bhi
naqab se hai siwa tajalli jamal-e-chilman se kam nahin hai

laga ke KHun-e-jigar ka Tika hai samne gham ke sar-ba-sajda
sanam-parasti mein tu bhi ai dil kisi barahman se kam nahin hai

qafas ki hai ab mera Thikana zarur hoga tabah ek din
ki bijliyon ki nazar mein ye bhi mere nasheman se kam nahin hai

misal-e-KHurshid jalwa-gar hai jigar ka har ek dagh-e-taban
nazara kar meri sham-e-gham ka jo subh-e-raushan se kam nahin hai

ye KHushk be-rang KHar fazil mere liye hain gulon se behtar
meri nazar mein mera bayaban kisi ke gulshan se kam nahin hai