ye daur guzra kabhi na dekhin piya ki ankhiyan KHumar-matiyan
kahe the mardum sharabi un kun nikal gain apni de ghalatiyan
siwae gul ke wo shoKH ankhiyan kisi taraf ko nahin hain raghib
to barg-e-nargis upar baja hai likhun jo apne sajan kun patiyan
sanam ki zulfan ko hijr mein ab gae hain mujh nain hain KHwab rahat
lage hai kanTa nazar mein sona kaTengi kaise ye kali ratiyan
jo shama-ru ke do lab hain shirin to sabza-e-KHat baja hai us par
zamin pakDi hai tutiyon ne sunin jo miThi piya ki batiyan
KHayal kar kar bhaTak raha hun nazar jo aae tewar hain banke
banao banta nahin hai 'naji' jo us sajan ko lagaun chhatiyan
Ghazal
Ye daur guzra kabhi na dekhin piya ki ankhiyan KHumar-matiyan
Naji Shakir