ye daur-e-taraqqi hai rifat ka zamana hai
zarron ko uThana hai taron se milana hai
aaghosh-e-tasawwur hai aur naqsh-e-jamil un ka
duri hai na majburi aana hai na jaana hai
nairang-e-mohabbat hai har raaz mere dil ka
chup hun to haqiqat hai kah dun to fasana hai
arman-e-tajalli ka kotah bhi kar qissa
ai dost tujhe aaKHir ek din nazar aana hai
kya shoabada-saman hai 'simab' zamana bhi
har shaKHs samajhta hai mera hi zamana hai
Ghazal
Ye daur-e-taraqqi hai rifat ka zamana hai
Seemab Akbarabadi

