ye daur-e-masarrat ye tewar tumhaare
ubharne se pahle na Duben sitare
bhanwar se laDo tund lahron se uljho
kahan tak chaloge kinare kinare
ajab chiz hai ye mohabbat ki bazi
jo haare wo jite jo jite wo haare
siyah naginen ban ke Dasti hain kirnen
kahan koi ye roz-e-raushan guzare
safine wahan Dub kar hi rahe hain
jahan hausle na-KHudaon ne haare
kai inqilabaat aae jahan mein
magar aaj tak din na badle hamare
'raza' sail-e-nau ki KHabar de rahe hain
ufuq ko ye chhute hue tez dhaare
Ghazal
Ye daur-e-masarrat ye tewar tumhaare
Raza Hamdani