اردو हिंदी
Ye daur-e-KHirad hai daur-e-junun is daur mein jina mushkil hai | Shaahi Shayari
ye daur-e-KHirad hai daur-e-junun is daur mein jina mushkil hai

Ghazal

Ye daur-e-KHirad hai daur-e-junun is daur mein jina mushkil hai

Arsh Malsiyani

;

ye daur-e-KHirad hai daur-e-junun is daur mein jina mushkil hai
angur ki mai ke dhoke mein zahrab ka pina mushkil hai

jab naKHun-e-wahshat chalte the roke se kisi ke ruk na sake
ab chaak-e-dil-e-insaniyyat site hain to sina mushkil hai

ek sabr ke ghunT se miT jati tab tishna-labon ki tishna-labi
kam-zarfi-e-duniya ke sadqe ye ghunT bhi pina mushkil hai

wo shoala nahin jo bujh jae aandhi ke ek hi jhonke se
bujhne ka saliqa aasan hai jalne ka qarina mushkil hai

karne ko rafu kar hi lenge duniya wale sab zaKHm apne
jo zaKHm dil-e-insan pe laga us zaKHm ka sina mushkil hai

wo mard nahin jo Dar jae mahaul ke KHuni manzar se
is haal mein jina lazim hai jis haal mein jina mushkil hai

milne ko milega bil-aKHir ai 'arsh' sukun-e-sahil bhi
tufan-e-hawadis se lekin bach jae safina mushkil hai