ye daur-e-kam-nazaran hai to phir sila kaisa
ye apna ahd hai is ahd ka gila kaisa
bahut dinon se nahin mujh ko iztirab-e-ghazal
ruka hua hai KHayalon ka qafila kaisa
kahan ye sham kahan mere aashna chehre
simaT raha hai tasawwur mein fasla kaisa
kahan ye raat kahan teri bu-e-pairahan
chala tha aaj KHayalon ka silsila kaisa
kai charagh kai suraten kai sae
guzar raha hai na jaane ye qafila kaisa
Ghazal
Ye daur-e-kam-nazaran hai to phir sila kaisa
Razi Akhtar Shauq