ye daur-e-ahl-e-hawas hai karam se kaam na le
jafa se kaam le zalim wafa ka nam na le
gila sitam ka nahin mujh ko sirf KHauf ye hai
zamana tujh se kahin mera intiqam na le
zamana us ko meri yaad KHud dila dega
wo lakh mujh ko bhula de wo mera nam na le
maza to jab hai ki ai sabr-o-zabt-e-ishq ek din
wo KHud salam kare jo mera salam na le
na kar zara bhi tawajjoh KHata-e-dushman par
ek intiqam hai ye bhi ki intiqam na le
dil-e-tabah jo hona tha wo to ho hi gaya
zamana kuchh bhi kahe tu to un ka nam na le
wo kya nigah jo marhun-e-jam hi rakkhe
wo hath kya hai jo girte huon ko tham na le
teri nigah se pi le jo ek bar ai dost
tamam umr wo phir mai-kashi ka nam na le
usi ke dar pe jhukae rahenge sar ko 'shamim'
ye dekhna hai wo kab tak karam se kaam na le

Ghazal
Ye daur-e-ahl-e-hawas hai karam se kaam na le
Shamim Jaipuri