ye dauD-dhup ba-har-subh-o-sham kis ke liye
bas ek nam ki KHatir ye nam kis ke liye
mera wajud ba-sad ehtimam kis ke liye
tamam umr jala subh-o-sham kis ke liye
yahan to koi nahin unghte diyon ke siwa
bhara hai tum ne mohabbat ka jam kis ke liye
umanD paDi hai KHudai ajib aalam hai
suna gaya wo saza-e-dawam kis ke liye
bahut kaThin hai mohabbat ki naz-bardari
wo shaKHs chhoD gaya hai ye kaam kis ke liye
ye rah-o-rasm zamane se kis ki KHatir hai
ye har kisi se dua-o-salam kis ke liye
wahi jo KHun ke pyase the kal talak 'nazim'
ye miThe bol ye shirin kalam kis ke liye
Ghazal
Ye dauD-dhup ba-har-subh-o-sham kis ke liye
Nazim Sultanpuri