ye dasht-o-daman koh o kamar kis ke liye hai
har lamha zamin garm-e-safar kis ke liye hai
kis kis ke muqabil hai meri quwwat-e-bazu
biphri hui maujon mein bhanwar kis ke liye hai
ja ja ke palaT aate hain kis ke liye mausam
ye sham shafaq raat sahar kis ke liye hai
hain kis ke talluq se meri aankh mein aansu
muTThi mein sadaf ki ye guhar kis ke liye hai
alfaz hain mafhum se labrez to kyun hain
gar hai to duaon mein asar kis ke liye hai
be-nind guzar jati hain kis ke liye raaten
ye kawish-e-fan arz-e-hunar kis ke liye hai
kis ke liye Dhalti hain meri fikr ki shamen
ye qalb-e-hazin dida-e-tar kis ke liye hai
uThta hai sawalon se sawalon ka dhundalka
sab us ke liye hai wo magar kis ke liye hai
Ghazal
Ye dasht-o-daman koh o kamar kis ke liye hai
Nashtar Khaanqahi