ye dard-e-la-zawal tumhein kaun de gaya
sarmaya-e-jamal tumhein kaun de gaya
mausiqiyon ki chandni nikhri hai lafz lafz
ye ishrat-e-KHayal tumhein kaun de gaya
is wadi-e-sukun-o-musarrat ke bawajud
ye ranj ye malal tumhein kaun de gaya
kab tak talash kijiye aasuda-haaliyan
afsurda mah-o-sal tumhein kaun de gaya
dil ke qarib hijr ki rut KHema-zan hui
tahniyyat-e-visal tumhein kaun de gaya
mafqud ho gai hain yahan lab-kushaiyan
ye Dher bhar sawal tumhein kaun de gaya
ranaiyon ke lab pe mukarrar sawal hai
be-aib KHadd-o-KHal tumhein kaun de gaya

Ghazal
Ye dard-e-la-zawal tumhein kaun de gaya
Qaisar Qalandar