ye dard-e-hijr aur is par sahar nahin hoti
kahin idhar ki to duniya udhar nahin hoti
na ho rihai qafas se agar nahin hoti
nigah-e-shauq to be-baal-o-par nahin hoti
satae jao nahin koi puchhne wala
miTae jao kisi ko KHabar nahin hoti
nigah-e-barq alawa mere nasheman ke
chaman ki aur kisi shaKH par nahin hoti
qafas mein KHauf hai sayyaad ka na barq ka Dar
kabhi ye baat nasib apne ghar nahin hoti
manane aae ho duniya mein jab se ruTh gaya
ye aisi baat hai jo darguzar nahin hoti
phirunga hashr mein kis kis se puchhta tum ko
wahan kisi ko kisi ki KHabar nahin hoti
kisi gharib ke nale hain aap kyun chaunke
huzur shab ko azan-e-sahar nahin hoti
ye mana aap qasam kha rahe hain wadon par
dil-e-hazin ko tasalli magar nahin hoti
tumhin duaen karo kuchh mariz-e-gham ke liye
ki ab kisi ki dua kargar nahin hoti
bas aaj raat ko timardar so jaen
mariz ab na kahega sahar nahin hoti
'qamar' ye sham-e-firaq aur iztirab-e-sahar
abhi to chaar-pahar tak sahar nahin hoti
Ghazal
Ye dard-e-hijr aur is par sahar nahin hoti
Qamar Jalalabadi