ye dar ye taq ye chaukhaT ye ghar malal ka hai
safar mein jitna hai zad-e-safar malal ka hai
main kaisi saat-e-bad-baKHt mein muqayyad hun
dua KHushi ki hai zahir asar malal ka hai
ruki hui hai hayat ek ajab dorahe par
idhar hansi ka ijara udhar malal ka hai
sajae rakkha hai hum ko ana ki suli par
koi agar hai to bas ye hunar malal ka hai
sambhaal rakkha hai ab jis qadar hai sarmaya
ziyaada kuchh nahin bas ek ghar malal ka hai
rawan hun main usi jaanib jidhar hai wo basti
mere liye to ye sara safar malal ka hai
lagae rakkhenge sine se us ko hum ai 'tur'
hayat mein koi TukDa agar malal ka hai

Ghazal
Ye dar ye taq ye chaukhaT ye ghar malal ka hai
Krishna Kumar Toor