اردو हिंदी
Ye dair-e-kuhan kya hai ambar-e-KHas-o-KHashak | Shaahi Shayari
ye dair-e-kuhan kya hai ambar-e-KHas-o-KHashak

Ghazal

Ye dair-e-kuhan kya hai ambar-e-KHas-o-KHashak

Allama Iqbal

;

ye dair-e-kuhan kya hai ambar-e-KHas-o-KHashak
mushkil hai guzar is mein be-nala-e-atishnak

naKHchir-e-mohabbat ka qissa nahin tulani
lutf-e-KHalish-e-paikan aasudgi-e-fitrak

khoya gaya jo matlab haftad o do millat mein
samjhega na tu jab tak be-rang na ho idrak

ek shar-e-musalmani ek jazb-e-musalmani
hai jazb-e-musalmani sirr-e-falak-ul-aflak

ai rahraw-e-farzana be-jazb-e-musalmani
ne rah-e-amal paida ne shaKH-e-yaqin namnak

ramzin hain mohabbat ki gustaKHi o bebaki
har shauq nahin gustaKH har jazb nahin bebak

farigh to na baiThega mahshar mein junun mera
ya apna gareban chaak ya daman-e-yazdan chaak