ye dastan hai shahidon ki KHun-chakida hai
qalam bhi dast-e-muarriKH mein sar-burida hai
hayat aisi zuleKHa ki aaj ka yusuf
gunah-gar hai aur pairahan-darida hai
lahu jalao charaghon mein raushni ke liye
hamare daur ka suraj to shab-gazida hai
daba daba sa ye tufan ghaTi ghaTi halchal
hawaon mein koi paigham na-rasida hai
tamam mazhar-e-fitrat tere ghazal-KHwan hain
ye chandni bhi tere jism ka qasida hai
na bujh sakegi meri pyas aansuon se 'asar'
ye abr kyun meri haalat pe aab-dida hai
Ghazal
Ye dastan hai shahidon ki KHun-chakida hai
Izhar Asar