ye dastan-e-dil hai kya ho ada zaban se
aansu Tapak rahe hain lafzen milen kahan se
hai rabt do dilon ko be-rabti-e-bayan se
kuchh wo kahen nazar se kuchh hum kahen zaban se
ye rote rote hansna tartib-e-zikr-e-gham hai
aaya hun ibtida par chheDa tha darmiyan se
hasil to zindagi ka thi zindagi yahin ki
ab main hun ek janaza uThwa do aastan se
is tul-e-KHamushi ka zor-e-bayan bhi dekha
thi baat mere dil ki nikli teri zaban se
jab husn KHud-numa hai aur ishq raKHna-afgan
is kashmakash mein parda niklega darmiyan se
maidan-e-imtihan mein ai be-gharaz mohabbat
dil ki zamin tu ne Takra di aasman se
us raazdar-e-gham ki haalat na puchh jis ko
kahna to hai bahut kuchh mahrum hai zaban se
ai jazb-e-shauq-e-manzil mamnun-e-ghair kyun hon
KHud rasta badal kar bichhDa hun karwan se
har gam par ThiThakna har bar muD ke takna
o muskurane wale kya le chala yahan se
zahir fareb-e-wada phir e'tibar itna
wo likh gaya dilon par jo kah diya zaban se
aaankhon se baghban ki shoale nikle rahe hain
tinke dabae munh mein nikla hun aashiyan se
dil ka sakun ganwa kar hon aarzu pasheman
kuchh le ke rakh na chhoDa kyun jins-e-raegan se
Ghazal
Ye dastan-e-dil hai kya ho ada zaban se
Arzoo Lakhnavi