اردو हिंदी
Ye chhapke ka jo baala kan mein ab tumne Dala hai | Shaahi Shayari
ye chhapke ka jo baala kan mein ab tumne Dala hai

Ghazal

Ye chhapke ka jo baala kan mein ab tumne Dala hai

Nazeer Akbarabadi

;

ye chhapke ka jo baala kan mein ab tum ne Dala hai
isi baale ki daulat se tumhaara bol-baala hai

nazakat sar se panw tak paDi qurban hoti hai
ilahi us badan ko tu ne kis sanche mein Dhaala hai

ye dil kyunkar nigah se us ki chhidte hain main hairan hun
na KHanjar hai na nashtar hai na jamdhar hai na bhaala hai

balaen nag kale naginen aur sanp ke bachche
KHuda jaane ki is juDe mein kya kya bandh Dala hai

na ghol aata hai KHuban ka sarak ai dil main kahta hun
ye kampu ki nahin palTan ye pariyon ka risala hai

jise tum le ke bedardi se panw mein kuchalte ho
ye dil main ne to ai sahab baDi mehnat se pala hai

'nazir' ek aur likh aisi ghazal jo sun ke ji KHush ho
ari is Dhab ki baaton ne to dil mein shor Dala hai