اردو हिंदी
Ye chalti-phirti si lashen shumar karne ko | Shaahi Shayari
ye chalti-phirti si lashen shumar karne ko

Ghazal

Ye chalti-phirti si lashen shumar karne ko

Hamidi Kashmiri

;

ye chalti-phirti si lashen shumar karne ko
bahut hai kaam sar-e-rahguzar karne ko

guzar rahe hain ba-ujlat bahaar ke ayyam
paDa hai raKHt-e-badan tar tar karne ko

gale ki samt mere apne hath baDhte hain
raha hi kya hai bhala e'tibar karne ko

badan ko chaT liya hai siyah kai ne
abhi to kitne samundar hain par karne ko

abhi se chand sitaron ki aanhken pathrai
paDi hai raat abhi intizar karne ko

samajh mein aa na saki ye ada gulabon ki
chaman mein aate hain sina figar karne ko