ye bhi shayad tera andaz-e-dil-arai hai
hum ne har sans pe marne ki saza pai hai
kaisa paigham kahan se ye saba lai hai
shaKH-e-gul subh-e-bahaaran hi mein murjhai hai
dil ke aabaad KHarabe mein na shab hai na sahar
chandni le ke teri yaad kahan aai hai
tu mere chaak-e-gareban se to mahjub na ho
main ne kab teri mohabbat ki qasam khai hai
tujh ko is tarah bhi dekha hai meri aankhon mein
teri aawaz ki taswir utar aai hai
teri mahfil mein ki maqtal mein kahin dekha tha
zindagi se meri bas itni shanasai hai
kya tera haal bhi ai anjuman-ara hai yahi
main tere pas hun lekin wahi tanhai hai
Ghazal
Ye bhi shayad tera andaz-e-dil-arai hai
Sulaiman Areeb