اردو हिंदी
Ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya | Shaahi Shayari
ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya

Ghazal

Ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya

Faisal Ajmi

;

ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya
mera sawal KHalq-e-KHuda tak nahin gaya

phir yun hua ki hath se kashkol gir paDa
KHairaat le ke mujh se chala tak nahin gaya

maslub ho raha tha magar hans raha tha main
aankhon mein ashk le ke KHuda tak nahin gaya

jo barf gir rahi thi mere sar ke aas-pas
kya likh rahi thi mujh se paDha tak nahin gaya

'faisal' mukalima tha hawaon ka phul se
wo shor tha ki mujh se suna tak nahin gaya