ye bhi na puchha tum ne 'anjum' jita hai ya marta hai
wah-ji-wa aashiq se koi aisi ghaflat karta hai
nai jawani nae-nawele nadan allaDh aur albele
sach puchho to tum ko sahib dil dete ji Darta hai
puchhte kya ho haal hamara jine ka hai kaun sahaara
ro lete hain ji bhar bhar kar jab gham se ji bharta hai
un se nahin kuchh shikwa hum ko un se nahin kuchh ranj-o-malal
kis se ai dil ishq kiya kis se chah ko barta hai
rote rote hijr mein kyun-kar jine se dil ser na ho
kahte hain talab bhi sahib phewan phewan bharta hai
mujh ko to dil dene mein kuchh uzr nahin ai jaan-e-jahan
sach to ye hai dil hi KHud kuchh aaga pichha karta hai
sail-e-sarishk-e-gham se 'anjum' KHana-e-dil barbaad na ho
dekho dekho kaba ki buniyaad mein pani marta hai
Ghazal
Ye bhi na puchha tumne anjum jita hai ya marta hai
Mirza Asman Jah Anjum