اردو हिंदी
Ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho | Shaahi Shayari
ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho

Ghazal

Ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho

Zafar Iqbal

;

ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho
ras aane lage hum ko to ye duniya hi na ho

kahin nikle koi andaza hamara bhi ghalat
jaante hain use jaisa kahin waisa hi na ho

ho kisi tarha se maKHsus hamare hi liye
yani jitna nazar aata hai wo utna hi na ho

TakTaki bandh ke main dekh raha hun jis ko
ye bhi ho sakta hai wo samne baiTha hi na ho

wo koi aur ho jo sath kisi aur ke hai
asl mein to wo abhi lauT ke aaya hi na ho

KHwab-dar-KHwab chala karta hai aankhon mein jo shaKHs
DhunDne niklen use aur kahin rahta hi na ho

chamak uTTha ho abhi ru-e-bayaban ek dam
aur ye nazzara kisi aur ne dekha hi na ho

kaifiyat hi koi pani ne badal li ho kahin
hum jise dasht samajhte hain wo dariya hi na ho

masala itna bhi aasan nahin hai ki 'zafar'
apne nazdik jo sidha hai wo ulTa hi na ho