ye be-nawai hamari sauda-e-sar hai ghar mein basa diya hai
makan KHali hai lekin is ko nigar-KHana bana diya hai
tamam umr-e-aziz apni isi tarah se ganwai hum ne
kabhi jo soe to KHwab dekha kisi ne hum ko jaga diya hai
na kuchh raha hai ki hum hi rakhte na kuchh bacha hai ki tum ko dete
mata-e-dil thi luTa ke aae jo qarz-e-jaan tha chuka diya hai
ye shan dekho qalandaron ki hai jis pe dar-o-madar-e-hasti
wo aashiyan phunk kar har ek shaKH par nasheman bana diya hai
ye zindagi ki sitam-zarifi nahin to phir aur kya hai 'azar'
wo jin ki KHatir bhaTak rahe hain unhi ne hum ko bhula diya hai
Ghazal
Ye be-nawai hamari sauda-e-sar hai ghar mein basa diya hai
Rashid Aazar

