ye be-ghari ye samundar ye raushni dil ki
akele baiTh ke socha kiye hain mahfil ki
ghaDi jo bit gai us ka bhi shumar kiya
nisab-e-jaan mein teri KHamushi bhi shamil ki
main haq-parast hun lekin mujhe bhi hairat hai
shikast, wo bhi isi daur mein ho baatil ki?
hamara daur mukammal nahin hua lekin
talash-e-rah na koi talab hai manzil ki
sujhai de na saka rasta KHayalon ka
dikhai de na saki raushni muqabil ki

Ghazal
Ye be-ghari ye samundar ye raushni dil ki
Javed Nasir