اردو हिंदी
Ye be-dili hai to kashti se yar kya utren | Shaahi Shayari
ye be-dili hai to kashti se yar kya utren

Ghazal

Ye be-dili hai to kashti se yar kya utren

Ahmad Faraz

;

ye be-dili hai to kashti se yar kya utren
udhar bhi kaun hai dariya ke par kya utren

tamam daulat-e-jaan haar di mohabbat mein
jo zindagi se liye the udhaar kya utren

hazar jam se Takra ke jam KHali hon
jo aa gae hain dilon mein ghubar kya utren

basan-e-KHak sar-e-ku-e-yar baiThe hain
ab is maqam se hum KHaksar kya utren

na itr o ud na jam o subu na saz o surur
faqir-e-shahr ke ghar shahryar kya utren

hamein majal nahin hai ki baam tak pahunchen
unhen ye aar sar-e-rahguzar kya utren

jo zaKHm dagh bane hain wo bhar gae the 'faraaz'
jo dagh zaKHm bane hain wo yar kya utren