ye bazm-e-shab hai yahan ilm-o-agahi kam hai
kai charagh jale phir bhi raushni kam hai
isi liye to meri us se dosti kam hai
wo KHud-parast ziyaada hai aadmi kam hai
yahi bahut hai ki pani ko chhu liya hum ne
baDa hai bahr-e-mohabbat shanawari kam hai
hawa-e-garm chali yun ki bujh gae chehre
gulon mein ab ke baras bhi shaguftagi kam hai
kahan ke ishq-o-mohabbat kahan ke ilm-o-hunar
KHumar-e-shauq ziyaada hai aagahi kam hai
KHata hai apni ki mahaul hai zamane ka
nigah-e-garm bahut sulh-o-ashti kam hai
faza badalne se dil to badal nahin jate
wo inqalab hai kya jis ki zindagi kam hai
KHayal-e-taza umaDte hain baadalon ki tarah
mujhe ye gham ki mera zarf-e-shairi kam hai
meri duaen sabhi raegan gain 'nami'
na aasman hai raushan na tirgi kam hai

Ghazal
Ye bazm-e-shab hai yahan ilm-o-agahi kam hai
Nami Ansari