ye barf-zar badan se na jaan se niklega
lahu ho sard to shoala kahan se niklega
hazar ghere rahe jabr ka hisar-e-siyah
ki bab-e-rah-e-aman darmiyan se niklega
jo talKH harf pas-e-lab hai aam bhi hoga
chaDha hai tir to aaKHir kaman se niklega
jo peD phal nahin dete wo kaTte jao
KHizan ka zahr yunhi gulistan se niklega
zara chale to sahi paniyon pe tez hawa
khaDa safina khule baadban se niklega
koi to kaam lo gham se ragen hi chamkao
jalengi shamen andhera makan se niklega
khule hain raston ke bhed tu samajh 'shahin'
ye karwan safar-e-raegan se niklega
Ghazal
Ye barf-zar badan se na jaan se niklega
Javed Shaheen