ye baaten aaj ki kal jis kitab mein likhna
tum apne jurm ko mere hisab mein likhna
hadis-e-dil ko qalam se na aashna karna
kahaniyan hi hamesha jawab mein likhna
mujhe samajhne ki koshish hai shaghl-e-la-hasil
jo chahna wahi tum mere bab mein likhna
wo kahte hain likho nama magar lihaz rahe
hamara nam na hargiz KHitab mein likhna
miTa miTa jo raha zulmaton ke parde mein
wo harf-e-haq waraq-e-aftab mein likhna
hamesha jis ki hawas ko thi aarzu-e-bahisht
usi ki ruh rahi thi azab mein likhna
jo baat likhne ko tha muztarib bahut 'naushad'
wahi main bhul gaya iztirab mein likhna
Ghazal
Ye baaten aaj ki kal jis kitab mein likhna
Naushad Ali