اردو हिंदी
Ye baat ye tabassum ye naz ye nigahen | Shaahi Shayari
ye baat ye tabassum ye naz ye nigahen

Ghazal

Ye baat ye tabassum ye naz ye nigahen

Josh Malihabadi

;

ye baat ye tabassum ye naz ye nigahen
aaKHir tumhin batao kyunkar na tum ko chahen

ab sar uTha ke main ne shikwon se hat uThaya
mar jaunga sitamgar nichi na kar nigahen

kuchh gul hi se nahin hai ruh-e-numu ko raghbat
gardan mein KHar ki bhi Dale hue hai banhen

allah ri dil-farebi jalwon ke bankpan ki
mahfil mein wo jo aae kaj ho gain kulahen

ye bazm 'josh' kis ke jalwon ki rahguzar hai
har zarre mein hain ghaltan uThti hui nigahen