ye baat to nahin hai ki main kam swad tha
TuTa hun is bina pe ki main kaj-nihad tha
ilzam apni maut ka mausam pe kyun dharun
mere badan mein mere lahu ka fasad tha
ab main bhi jal ke rakh hun mere jahaz bhi
kal mera nam tariq-e-ibn-e-ziyaad tha
iman bhi laj rakh na saka mere jhuT ki
apne KHuda pe kitna mujhe e'timad tha
gahre samundaron mein bhi patthar mile mujhe
tha main guhar-shanas magar sang-zad tha
tu baadban darida safine ka naKHuda
aur qulzum-e-sarab ka main sindbaad tha
ab hun zaban burida to ye soch kar hun chup
ye bhi suKHan-shanas ka andaz-dad tha
Ghazal
Ye baat to nahin hai ki main kam swad tha
Himayat Ali Shayar