ye baat dasht-e-wafa ki nahin chaman ki hai
chaman ki baat bhi zaKHmon ke pairahan ki hai
hawa-e-shahr bahut ajnabi sahi lekin
ye us mein bu-e-wafa teri anjuman ki hai
main but-tarash hun patthar se kaam hai mujh ko
magar ye tarz-e-ada tere bankpan ki hai
lapak to shoala ki fitrat hai phir bhi kya kije
ki is mein phul si rangat tere badan ki hai
ye meri wadi-e-jaan nag-phan ka jangal hai
ye KHushbuon ki rida shaKH-e-yasman ki hai
mere junun ki saza sangsar hona hai
lahu lahu ye qaba kyun nigar-e-fan ki hai
ye dil to shoala-e-afsurda hai magar 'tanwir'
meri ragon mein tapish garmi-e-suKHan ki hai

Ghazal
Ye baat dasht-e-wafa ki nahin chaman ki hai
Tanveer Ahmad Alvi