ye bagh zinda rahe ye bahaar zinda rahe
main mar bhi jaun to kya mera yar zinda rahe
qadim raste ru-posh hote jate hain
so tera kucha teri rahguzar zinda rahe
hamesha saz bajati rahe yun hi teri zulf
aur us ke saz ka ek ek tar zinda rahe
ye KHak zinda unhi aansuon ke dam se hai
har ek dida-e-ansu-shiar zinda rahe
farar ruh hui sara naqd-e-jaan le kar
hum apne jism se le kar udhaar zinda rahe
main tere ghar yun hi be-qaid aata jata rahun
teri nazar mein mera eatibar zinda rahe
hazar shukriya 'ehsas-ji' un aankhon ka
hum un ke tir ka ho kar shikar zinda rahe
Ghazal
Ye bagh zinda rahe ye bahaar zinda rahe
Farhat Ehsas