اردو हिंदी
Ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jate to achchha tha | Shaahi Shayari
ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jate to achchha tha

Ghazal

Ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jate to achchha tha

Karamat Bukhari

;

ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jate to achchha tha
ye phailae hue manzar simaT jate to achchha tha

ye dil tarik hujra hai ise raushan karo aa kar
ye din tarikiyon wale jo kaT jate to achchha tha

maqam-e-dil kahin aabaadiyon se dur hai shayad
magar ye fasle dal ke simaT jate to achchha tha

ye daur-e-habs TuTe to hum apna baadban kholen
magar baad-e-muKHalif mein jo DaT jate to achchha tha

kahin gard-e-malamat se kahin gard-e-nadamat se
ye chehre gard-e-gardun se jo aT jate to achchha tha