اردو हिंदी
Ye aur baat shajar sar-nigun paDa hua tha | Shaahi Shayari
ye aur baat shajar sar-nigun paDa hua tha

Ghazal

Ye aur baat shajar sar-nigun paDa hua tha

Mumtaz Gurmani

;

ye aur baat shajar sar-nigun paDa hua tha
zamin se us ne magar rabta rakha hua tha

wahin wahin se gawahi mili mere sach ki
jahan jahan se mera pairahan phaTa hua tha

mujhe kisi ka to hona tha haar jit ke baad
mera wajud wahan daw par laga hua tha

meri nigah mein thi surKH mahmalon ki qatar
aur in mein ek kajawa bahut saja hua tha

andhere noch rahe the jamal dharti ka
meri zamin ka suraj kahin gaya hua tha

mere huzur farishte jhukae ja rahe the
mera KHamir abhi chaak par rakha hua tha

laraz rahe the kamanon mein tir dahshat se
mere 'husain' ka 'asghar' kahan Dara hua tha