اردو हिंदी
Ye aur baat ki ye sehr besh-o-kam pe chala | Shaahi Shayari
ye aur baat ki ye sehr besh-o-kam pe chala

Ghazal

Ye aur baat ki ye sehr besh-o-kam pe chala

Jafar Tahir

;

ye aur baat ki ye sehr besh-o-kam pe chala
siyah-raat ka jadu magar na hum pe chala

udhar se pahle bhi kuchh sarfarosh guzare the
rah-e-talab mein nishan-e-qadam qadam pe chala

ye tairan-e-chaman ka nasib kya kahiye
wo tir un ke liye waqf hai jo kam pe chala

KHuda KHuda ke ishaare pe lauT lauT gaya
taDap taDap ke tariq-e-sanam sanam pe chala

kabhi KHuda ki parastish kabhi sana-e-butan
rah-e-arab pe kabhi jada-e-ajam pe chala

asir-e-dam na hoga mera dil-e-azad
kisi ka hukm kabhi mauj-e-yam-ba-yam pe chala

tujhe bhi dekh liya hum ne o KHuda-e-ajal
ki tera zor chala bhi to ahl-e-gham pe chala

ye naqsh-e-pa hain ki zanjir-e-mauj-e-KHun yaro
ye kaun turfa-jawan jada-e-sitam pe chala

lab-o-nigah pe mohren lagi rahin 'tahir'
kisi ka zor na lekin mere qalam pe chala