ye aur baat ki is ahd ki nazar mein hun
abhi main kya ki abhi manzil-e-safar mein hun
abhi nazar nahin aisi ki dur tak dekhun
abhi KHabar nahin mujh ko ki kis asar mein hun
pighal rahe hain jahan log shoala-e-jaan se
sharik main bhi isi mahfil-e-hunar mein hun
jo chahe sajda guzare jo chahe Thukra de
paDa hua main zamane ki rahguzar mein hun
jo saya ho to Darun aur dhup ho to jalun
ki ek naKHl-e-numu KHak-e-nauha-gar mein hun
kiran kiran kabhi KHurshid ban ke niklunga
abhi charagh ki surat mein apne ghar mein hun
bichhaD gai hai wo KHushbu ujaD gaya hai wo rang
bas ab to KHwab sa kuchh apni chashm-e-tar mein hun

Ghazal
Ye aur baat ki is ahd ki nazar mein hun
Obaidullah Aleem