ye arz-o-sama qulzum-o-sahra mutharrik
ek tu hi nahin shams hai duniya mutharrik
ta-hadd-e-nazar ek wahi chehra mutharrik
ya husn-e-mujassam ka hai jalwa mutharrik
insanon mein ab bu-e-wafa hi nahin milti
har shaKHs nazar aata hai tanha mutharrik
ye soch raha hun use kis chiz ka gham hai
rahti hai mere dil mein tamanna mutharrik
yun dhup se ghabra ke main sae mein na baiTha
sakin hai agar peD to saya mutharrik
KHushbu-e-gul-e-tar pe hi mauquf nahin hai
har shaKH-e-gul-e-tar ka hai patta mutharrik
raushan kiye ek ne to bujhae diye ek ne
harakat mein hai zulmat to ujala mutharrik
jis ki bhi jo manzil hai wahin tak ye gaya hai
rahi ki badaulat hua rasta mutharrik
wo chand ho suraj ho gul-e-tar ho ki shabnam
hum ne to har ek chiz ko dekha mutharrik
dariya ki hadon mein jo utar jaoge ai shams'
aaenge nazar sahil-o-dariya mutharrik
Ghazal
Ye arz-o-sama qulzum-o-sahra mutharrik
Shams Ramzi