ye arz-e-shauq hai aaraish-e-bayan bhi to ho
ada-shanas to hai aankh KHun-chakan bhi to ho
KHuda KHafa hai to sachche hain nasehan-e-aziz
hamare lab pe kabhi shikwa-e-butan bhi to ho
ye rang-o-nikhat-o-tarkib-o-lafz KHira-sari
ze-rah-e-dida ba-dil-mauj-e-KHun-rawan bhi ho
hamein bhi naghmagari par hai naz baat to kar
hamein bhi jaan nahin pyari hai imtihan bhi to ho
abhi to hun dar-o-diwar hi se mahw-e-kalam
harif-e-daulat-e-gham koi raazdan bhi to ho
qatil-e-naz hun ai wa-e-e'timad-e-wafa
wo iltifat kare pahle bad-guman bhi to ho
kisi ko un se mohabbat kisi ko mujh se hasad
milen wo mujh se magar koi darmiyan bhi to ho
Ghazal
Ye arz-e-shauq hai aaraish-e-bayan bhi to ho
Syed Aabid Ali Aabid