ye alag baat ki hum sa nahin pyasa koi
phir bhi dariya se talluq nahin rakkha koi
mere maktab ko dhamake se uDaya gaya hai
ab ki hathon mein kitaben hain na basta koi
jaane kis or gaya qafila ummidon ka
dil ke sahra mein nahin aas ka KHema koi
kis ajab dhun mein yahan umr ganwai hum ne
qarz miTTi ka utara na hi apna koi
pyas ke hathon mera qatl hua hai 'noman'
dost dariya the magar pas na aaya koi

Ghazal
Ye alag baat ki hum sa nahin pyasa koi
Noman Farooq