ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
warna dekha hi nahin teri talab se aage
ye mohabbat hai ise dekh tamasha na bana
mujh se milna hai to mil hadd-e-adab se aage
ye ajab shahr hai kya qahr hai ai dil mere
sochta koi nahin KHwab-e-tarab se aage
ab nae dard pas-e-ashk-e-rawan jagte hain
hum ki rote the kisi aur sabab se aage
'shaz' yun hai ki koi pal bhi fusun-kar nahin
dhyan aate the mere dil mein ajab se aage
Ghazal
Ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
Zakariya Shaz